! You are not logged in to Prodigits. Please register or login.

Jannah - Topics

* Jannah > Topics


Subject: Religions Topic
Replies: 166 Views: 3417
6-<< 2-<

aftab_23 9.09.11 - 07:36am
Dosto ..
Duniya is waqt humko Khubsurat Baag Najar aati H ..
Kyun k hum sb jawan H ..
Aur
Jawani Deewani hoti H ..
Jo kisi jimmedari ko kabul nahi karti ..
Balke is Deewanepan k Dour mai Akhlak aur jimmedariyo ki hadon ko tod deti H ..

Is Rangin Duniya mai hum apni Marji k Mutabik bahot kuch chahte H ..
Jese k .. ..

Hasin aur Rangin Khyalon ki Duniya mai Khoye rahe aur koi Usme Rukawat na kare ..

Maa - Baap - Dost biradar aur Hukumat bhi humare Mashware pr amal kare .. Kisi ko humare Khilaf karne ki himmat na ho .. Aur har kism k Aadmi humare Hukm ko maane ..

Hum filmi hero ban jaye , mashhur Aashiq ho jaye , jahan kisise najre mile mehbub khat se paon mai aakar gire ..

Humare pass bike ya car ho , Doston ki bhid humare sath ho , aur Duniya bhrmein shair karte phire ..

Hum sada tandurast aur Jawan rahe , humari Jawani har waqt Zagmagati rahe , har waqt khush haal rahe ..

Duniya bhrki Dilchashp kitabe , chatpate Novil aur Rangin Tashviro ki kitabe har waqt humare maiz par mauzud rahe , jisse uska maja hashil ho ..

Hum ho humare Dost ho , aur khane pine ki chatpati chize ho , Rangin Mehfil ho , Bas ! Ye sab majlish ki Zinat bani rahe ..

Mere Aziz Dosto !

Yeh hai humare Sapno aur Aarzuonka ek naksha .. !!

Ye batain kehne wale badi umar k tazurbekar log H , jo apni Jawani mai humari tarah Duniya mai sirf Ranginiya hi talash karte rahe aur Jawani jab Gujar gayi to Hashrat se Pukar Uthe .. ..

JO KUCH DEKHA THA ,
JO SUNA THA AFSANA THA .. *

aftab_23 23.11.11 - 05:08am
Aadmi 4 tarah k hai ..


Khalil ibne ahmad r.h. Frmate h k aadmi 4 tarah k hai ..

1k woh sakhs jo haqiqat me janta h..
Aur woh ye bhi janta h kmai janta hoon..
Ye sakhs Aalim h, uska ittebaa karo ..

2, woh sakhs h jo janta h, Lekin ye nahin janta k mai janta hoon,
ye sakhs so raha h use jagado.

3, woh sakhs h jo nahin janta, Aur ye bhi janta h k mai nahin janta hoon,
ye sakhs Hidaayat ka mohtaaj h, uski Rehnumaay karo..
4, woh sakhs h jo nahi janta, Aur ye bhi nahin janta, k mai nahin janta hoon,
ye sakhs Jaahil h, uske karib mat aao .. ( Ihyaaul Uloom ) *
--- *

aftab_23 1.12.11 - 03:56am
Hzrat Hasan r.a. Nabi s.a.w. ka irshad nakal karte hai ki Allah ta'ala ek raat ke BUKHAR se MOMIN ke saare gunahon ko maaf farma dete hai..
( Ibne - Abi Dunya', Ithaf ).. *

6-<< 2-<


* Reply
* Jannah Forum


fav Bookmarks

Search:
topics replies


* Jannah (8)

Custom Search