! You are not logged in to Prodigits. Please register or login.

UrdUMaG - Topics

* UrdUMaG > Topics


Subject: * UrdU~GhaZaLs~ PoEtRYs~ P[6]*
Replies: 720 Views: 49027
6-<< 2-<

xxkamixx 25.07.13 - 06:15am
Hay tursh rao

Meri baato,n se sahib - e - mimber

Khteeb-e-shehr hay ber-hum

Mere sawalo,n se *

z_haidar 25.07.13 - 07:29am
nyc *

saasifal 25.07.13 - 06:29pm
Jis din hua tha shahar me ek rahzan ka Qatl/ Chehre utar gae they kae Rahnumao'N K/

,,Aasi,, *

xxkamixx 21.09.13 - 12:00am
Shab e hijer mein k*m tazalum kia
Ke humsaay-ghaa,n per terahum kia

Kaha meine kitna ha Gul ka sbaat
Kali ne ye sun ker tabasum kia

*

xxkamixx 21.09.13 - 12:13am
Kisu wakt paate nahi ghar usse
Bohat meer ne aap ko ghum kia *

z_haidar 26.06.14 - 06:59am
Ek Hasrat-E-Aab Ho Gaya Hoon,
Main Khud Hi Saraab Ho Gaya Hoon.

Likha Hoon Ik Ajnabi Zubaan Mein.
Honay Ko Kitaab Ho Gaya Hoon.

Ek Khuwaab Mein Ji Raha Tha Ab Tak.
So Khuwaab Hi Khuwaab Ho Gaya Hoon.

Tha Kitna Saja Huwa Ye Chehra.
Aur Kaisa Kharaab Ho Gaya Hoon.

Ginta Jo Raha Wo Mujh Ko Har Pal.
Be Hadd-O-Hisab Ho Gaya Hoon.

Gohar Tha Kabhi Dil-E-Sadaf Mein.
Ab Naqsh Bar Aab Ho Gaya Hoon.

Karta Tha Sawaal Zindagi Se.
Ab Apna Jawaab Ho Gaya Hoon.

Tu Beth Kinar-E-Ishq Main To.
Sohni Ka Chanab Ho Gaya Hoon.

Ab Toar Liya Chaman Say Rishta.
Jangal Ka Gulaab Ho Gaya Hoon... *

6-<< 2-<


* Reply
* UrdUMaG Forum


fav Bookmarks

Search:
topics replies


* UrdUMaG (8)

Custom Search