! You are not logged in to Prodigits. Please register or login.

UrdUMaG - Topics

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~DUKH~*~BHARI~*~NAZZMEIN~*~
Replies: 1013 Views: 44903
6-<< 2-< 1-> 7->>

z_haidar 25.09.12 - 05:17pm
*198388_383405241718149_1445886880_n.jpg


Aaj aisa kertay hein

*

Be sadda lafzon mein
Wajah-e-zindagi keh k
Wasal ki zaroorat per
Phir se zoor detay hein .... !!!!

*
Aaj aisa kertay hein

*

Zikr wohi kertay hein
Naam aur detay hein
Zabt ke kinaaron se
Dard aan lipta hai
Toot-tay kinaaray ab
Dard aur detay hein ..... !!!!

*
Aaj aisa kertay hein

*

Dard se ulajhtay hein
Zabt chorr detay hein
Taar Taar daaman ko
Khaar khaar raahon mein
Ranjishein bhula k Hum
La ke joor detay hein .... !!!!
*

Aaj aisa kertay hein

*

Khud nahin palat-tay hein
Raah moor detay hein
Sabz sabz mausam mein
Laal laal aankhon k
Khwaab ki ragoon se Hum
Khoon nichor detay hein .... !!!!

*
Aaj aisa kertay hein

*

Ye bhi kar guzartay hein
Khwaab toor detay hein
Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon mein
Phir se kar ke alvidaah
Mauqa aur detay hein ... !!!!

*
Aaj aisa kertay hein

*

Darya mein utartay hein
Rabb pe chor detay hein .... !!!!!!!




_________________ *

kanval 28.09.12 - 02:00pm
really nyc . *

samina11 29.09.12 - 03:04pm
Awesom coletons dude!! i lyk it *

z_haidar 5.11.12 - 05:45am
560903_396252470433426_515643034_n.jpg

~~Ik Ashna Tha Janey Kidher Gaya~~

*

Nakaam hasraton ney
Yeh acha sila diya..

*

Yun a k mere dil me basay
Aur ruLa diya ..

*

Inn ansuon ko dil mein
Chupaya tha kis tarah
Tum ne to aj saber ka
Perdah gira diya..

*

Main tum se kah rahi hoon
Meri Rooh Zakhmi Hai

*

Tum muskura ker bolay
Acha yeh hadsa kab hua?

*

Main toot k fana bhi
ho jaon gi mager
Tum socho gey


*

IKK ASHNA THA
JANEY KIDHER GAYA?


*

z_haidar 22.03.13 - 01:41pm
Ae Dil e Ishq Zadda
Raat kiss dard ki dewaar main chup chap basar ker aye


Ae Dil e Hijar Zadda
Dard Dahleez Nahin hai kah Guzer aiin Qadam Dherty huye
jab chaahain!!


Dard Dewar hai
kah dewar jis main her Rooz
Rooh chun deta hai Muddat se bichra hua koi
Raat kis Dard ke Sahra main bitta aye ho


Ae Dil e Dhoop Zadda
Dard bass Rait nahin hai kah ussy Roond ker agay Guzer jain


Dard Sehra hai
Dehkta hua Zalim Sehra
Paaon Perh Jaye Jo ik Baar to Jewan Jal Jaye
Raat kis Beety huye Ishq ki Yadoon main Guzar aye Hoo



Tum ke Weraan Kabhi asey to na Thy
Tum ke Khali Kabhi asey to na Thy
Tum ke Bikhrey Kabhi asey to na Thy


Ae Dil e ishq Zadda
*

z_haidar 29.03.13 - 08:36am
Mere hath par likh do faisla judai ka.

Itna mukhtasir likhna.

Jitni mukhtasir tum ne mujh se muhabbat ki.

Itna mukhtasir likho faisla judai ka.

Jitni meri sansen hen.

Jitni meri hasti he.

Fasila judai ka gar.

Taweel likho gi.

Tab min parh na paon ga.

Men to bas judai k faisle ko parhne tak zindagi ka saathi hon.

Zindagi tumhari he... !
:(



*

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


fav Bookmarks

Search:
topics replies


* UrdUMaG (8)

Custom Search