! You are not logged in to Prodigits. Please register or login.

UrdUMaG - Topics

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~*~BAZM E ADHAB~*~*~
Replies: 399 Views: 15642
1-> 7->>

xxkamixx 9.03.10 - 01:50pm
adaab , salam , namaste . Hello . . Urdu adhab pe pehle se bohat se topic mojood thaye , new topic ki koi zaroorat to nahi thi . Mager meine ye mehsoos kia ke jahaan shairy likhi ja rahi hay wahaa,n pe iqtebas nahi , nazam ya gazal to afsana ya kahani nahi . Or sub se ehm bat jo honi chahiay wo hay radh e amal . . Sub action ho raha hay . . Kaheen b reaction nahi . .bazm e adab mein na sirf apko sher likhne ki . Ya iqtebas paish kern ki ejazat hay , uske sath sath aap kisi ki , tehreer pe behs bhi ker sakte hein . . Tareefun ya tanqeedan ! . Mager !!!! . Adhab ke sath . . Shukria . *

xxkamixx 9.03.10 - 01:54pm
ibteda mein hi ker deta hoon . Faiz sahib ka aik sher hay .IK FURSAT E GUNAH MILI WO BHI CHAAR DINN . DEKHE HEIN HOSLE MEINE PERWER DIGAAR KE . *

xxkamixx 9.03.10 - 02:06pm
faiz sab ki shairy or unki zindagi ke mutaluq bohat kuch likha or kaha jata raha hay . . Tanqeedn or tareefun bhi . Us se qata nazer . aik bat jo faiz sab ke haq me hamaish rahi wo ye thi ke aap ke fan , apke madha, ne apko kabi mujrim nahi mana . ye aik bohat badi bat hoti hay ke jub kisi ko adalat e wakt bhi mujrim karar de to awaam uske sath khadi ho. Payar kerti ho ! . Aisa kiun ? . . Shaid iski wajah faiz sab ka wo kalam tha jis ko hamisha awan ne saraha . . . Mager jab is sher ki bat hoti hay to kia kaha jaaye ? *

xxkamixx 9.03.10 - 02:13pm
awaam ne . , *

mastkuri 9.03.10 - 02:53pm
khoobsurat topic start kia hai kamran aapne umid karti hoon keh is topic ke tawasut se hamain bhohat kuch seekhne ko mile ga. *

mastkuri 9.03.10 - 02:55pm
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale

Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale

Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale

Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale

Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale *

xxkamixx 9.03.10 - 03:58pm
wah . Bohat ache . . Shukria kuri . Apke topic pasnd kerne ka . . . Gulo me rang bhare bad e nau bahar chale . Chale bhi aao ke gulshan ka kar o bar chale . . Kia kehne . . . Faiz sab ke . . Or mehdi hasan sab ke . . Ye galzal ab mehdi hasn ki ho ke reh gai hay .faiz sab ki nahi rahi . Bohat khoob ! *

1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


fav Bookmarks

Search:
topics replies


* UrdUMaG (8)

Custom Search