! You are not logged in to Prodigits. Please register or login.

Nice-Friends - Topics

* Nice-Friends > Topics


Subject: *~Urdu Ghazal pOetry~*
Replies: 31 Views: 3007
1-> 7->>

dr.aamir 15.07.12 - 11:51am
Collection Of sOme Best Ghazals.. *

dr.aamir 15.07.12 - 11:53am
Wo Chahto Ki Esi Misal Deta Hai,
Awargi Ko Apnayat Mai Dhal Deta Hai,

Wo Khush Kalam Hai Is Kadar,bat Karny Mai,
Ke Harf Harf Ko Husn-o-jalam Deta Hai,

Mai Uska Sath Jo Mango,zindagi Bhar Ke Liye,
Baray Haseen Tareeqy Se Wo Taal Deta Hai,

Ye Jan Kar B K Mujy Wo Pyar Nahi Karta,
Wo Dekhta Hai Yuon Hai K,uljhan Mai Daal Deta Hai,

Sawal Jaise Panha Mangty Hoon Aaankhon Se,
Jawab Nigaah Se Wo Kalam Deta Hai.. *

dr.aamir 15.07.12 - 11:54am
Pyaas Wo Dil Ki Bujhaanay Kubhi Aya Bhee Nahee
Kaisa Baadal Hai Jis Ka Koi Saaya Bhee Nahee ?

Be-Rukhi Is Se Badi Aur Bhalaa Kia Hogi ?
Ik Muddat Se Hamain Osne Sataaya Bhee Nahee

Roz Aata Hai Dard-e-Dil Pe Wo Dastak Dene
Aaj Tak Ham Ne Jisay Paas Bulaaya Bhee Nahee

Sun Lia Kaisay Khudaa Jaanay Zamaanay Bhar Ne ?
Wo Fasaana Jo Kubhi Ham Ne Sunaaya Bhee Nahee

Tum Tou Shayar Ho Qateel Aur Wo Ik Aam Sa Shakhs
Osne Chaaha Bhee Tujhe Aur Jataaya Bhee Nahee *

dr.aamir 15.07.12 - 11:55am
Goya Andaaz-e-Taazeem Hai Ameeron Jaisa
Mere Ander Ka Hai Insaan Faqeeron Jaisa

Ham Ne Chehray Pe Sajaa Rakhi Hai Sheher Ki Ronaq
Dil Ka Aalam Hai Veeraan Jazeeron Jaisa

Os Ke Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhe Jeet Lia
Meray Mureedon Mein Tha Shakhs Wo Peeron Jaisa

Is Se Pehlay Thi Aseeri Bhi Rehaayi Jaisi
Ab Ke Aazaadi Mein Hai Haal Aseeron Jaisa

Os Ko Ganwa Ke Hain Khasaaray Ab Tak Mohsin
Wo Jo Ik Shakhs Mere Saath Tha Heeron Jaisa *

dr.aamir 15.07.12 - 11:56am
Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena
Yaad Karna Bhee Ose Roz Bhula Bhee Dena

Kia Kahoon Ye Meri Chaahat Hai Ke Nafrat Oski ?
Naam Likhna Bhee Mera, Likh Ke Mitaa Bhee Dena

Phir Na Milnay Ko Bicharta Hun Tujh Se Laikin
Murr Ke Dekhuun Tou Palatnay Ki Duaa Bhee Dena

Khat Bhee Likhna Mayoos Bhee Rehna Os Se
Jurm Karna Bhee Magar Khud Ko Sazaa Bhee Dena

Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhee Ganwaara Laikin
Jee Mein Aaye Tou Ye Deewaar Gira Bhee Dena

Os Se Mansoob Bhee Karlaina Puraanay Qissay
Os Ke Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhee Dena

Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna Mohsin
Apnay Honay Se Na Honay Ka Pataa Bhee Dena *

dr.aamir 15.07.12 - 11:57am
Gumnaam Dayaaron Mein Safar Kiun Nahee Kartay ?
Ujray Howay Loogon Pe Nazar Kiun Nahee Kartay ?

Ye Khwaab Ye Khushion Bharay Hanstay Howay Ye Khwaab
Ye Khwaab Mere Dil Pe Asar Kiun Nahee Kartay ?

Khwaahish Ke, Tamaaniat-e-Ehsaas Ke Panchi
Kuch Roz Mere Ghar Mein Basar Kiun Nahee Kartay ?

Subhon Se Hain Maghloob Tou Phir Zaim Kaisa Hai ?
Raaton Pe Hain Ghalib Tou Seher Kiun Nahee Kartay ?

Ye Loog Musalsal Hain Jo Ik Khauf Ke Qaidi
Is Khauf Ki Deewaar Mein Dar Kiun Nahee Kartay ?

Kiun Aap Uthaatay Ho Udaasi Ke Ye Asbaab ?
Shaamon Ke Ghulaamon Ko Khabar Kiun Nahee Kartay ? *

dr.aamir 15.07.12 - 11:58am
Qadar-e-Johar Hai Jo Pindaar Samait
Mujhko Parkho Mere Mayaar Samait

Roz Maangain Ye Dua Khaana-Badosh
Ghar Na Ujray Dar-o-Deewaar Samait

Kitni Banjar Howi Fasl-e-Aawaaz
Sheher Chup Chaap Hai Baazaar Samait

Kaash Loogon Ki Tarah Soye Chaman
Hum Bhee Jaayein Kubhi Dildaar Samait

Kon Karta Qad-o-Qaamat Ka Hisaab ?
Ik Qayaamat Tha Wo Raftaar Samait

Jin Ki Haibat Se Hiraasan Lashkar
Be-Nishaan Ab Hain Wo Talwaar Samait

Bujh Jaayein Kaheen Aankhain Meri
Yaad Aa , Mashal-e-Rukhsaar Samait

Khaak Urti Howi Sadyon Se Udhar
Qaaflay Guum Howay Saalaar Samait

Hawas-e-Darham-Dinaar Ki Khair
Loog Biknay Lagay Kirdaar Samait

Mein Ke Mohsin Hun Shaheed-e-Naamoos
Dafan Karna Mujhe Dastaar Samait

*

1-> 7->>


* Reply
* Nice-Friends Forum


fav Bookmarks

Search:
topics replies


* Nice-Friends (8)

Custom Search