You are not logged in to Prodigits. Please register or login.
Subject: So Bar kaha hai k Mohabbat na
Replies: 0 Views: 182
shizal 13.09.10 - 10:41am
*Ghazal*
Uljhay huay haalat ka shikwa na kia kar
khairaat mein khushiyon ki tamanna na kia kar
So baar kaha itni mohabat nhi achi
So baar kaha itna bharosa na kia kar
Halaat tujhko mujhse na milne kabhi dein gay
Ae dost mere...meri tamanna na kia kar
Kya janey ye kis morr pey ley jaey zamana
Tu mujh ko kisi pal b elehda na kia kar
Mumkin hay kisi roz bichar jaon achanak
Tu mujh sy piyar itna ziyada na kia kar...
*
UrdupoetryShizal (8)