! You are not logged in to Prodigits. Please register or login.

CoLoUrS-oF-LiFe - Topics

* CoLoUrS-oF-LiFe > Topics


Subject: Ibn-e-Insha
Replies: 20 Views: 8906
1-> 7->>

sajjad85 19.02.09 - 04:14am
Poetry of Ibn-e-Insha. *

sajjad85 23.02.09 - 04:11am
Sab MaayaHai
By insha


sab maya hai ,
sab dhaltee phirtee chaya hai
iss ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
jo tum nay kaha hai, faiz nay jo farmaya hai
sab maya hai
****
haan gahay gaahay deed ke doulat haath aye
ya aik woh lazat naam hai jiss ka ruswayee
buss uss kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai
sab maaya hai
****
ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahi
jab daikh liya iss sooday mein nuqsaan nahi
tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai
sab maaya hai
****
maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
sab aik say hain, yeah ranjha bhi, yeh insha bhi
farhad bhi jo ik nahar se khood kay laya hai
sab maya hai
****
kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoo
jis saat samandar par ke naar ke baat karoo
uss naar say koi aik nay dhoka khaya hai ?
sab maaya hai
****
jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain
tum jantay hoo - hum kiyonkar uss ka naam likhain
dil uss ke chookhat chom kay wapis aaya hai
sab maaya hai
****
woh larki bhi jo chaand nagar ke raani thee
woh jiss ke alhaar ankhoon mein hayraani thee
aa uss nay bhi pay'ghaam yeehi bhijwaya hai
saab maya hai
****
jo loug abhi tuk naam wafa ka laytay hain
woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai
sab maaya hai
****
jab daikh liya har shakhas yahaan harjayee hai
iss shehar say door - aik kutiya hum nay banaye hai
aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai
sab maaya hai
**** *

sajjad85 6.03.09 - 08:56am
Log hilaal-e shaam sey barh kar pal main mah-e tammam howe
Log hilaal-e shaam sey barh kar pal main mah-e tammam howe
Hum har burj main ghatte ghatte subha talak ghumnaam howe
------
Un logo.n ki baat karo jo ishq main khush unjaam howe
Najd main Qais yahan per Insha khwaar howe, na-kaam howe
------
Kis ka chamakta chehra lain, kis soraj sey maangain dhoop
Ghor undhaira cha jata hay, khilwat-e dill main shaam howe
------
Aik sey aik junoo ka mara is basti main rehta hay
Aik humain hushiyaar they yaaro, aik humain ba-naam howe
------
Shouq ki aag, nafas ki garmi, ghatte ghatte sard ho na ho?
Chah ki raah dikha kar tum tu waqf-e dareecha-o baam howe
------
Un sey bhahar-o baagh ki baatain kar k jee ko dukhana kya
Jin ko aik zamana guzra kunj-e qafas main raam howe
------
Insha sahab pho phatti hay, taarey dobeby, subha hoi
Baat tumhaari maan k hum tu shab bhi be-araam howe *

sajjad85 12.03.09 - 12:21pm
DILL PEET KI AAG MAIN JALTA HAY
Dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay ise jalne do
is aag sey logo door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
hum raat dina yoon hi ghulte rahain, koi pochey k hum ko na pochey
koi sajan ho ya dushman ho, tum zikr kisi ka mat chiaro
sab jaan k sapne dekhtey hain, sab jaan k dhokey khaatey hain
ye dewaane sada hi sahi, per itne bhi sada hain yaroo?
kis meethi tapish k malik hain thitharti hoi aag k angiyaarey
tum nay tu kabhi sainka hi nahi, tum kya samjho, tum kya jano
dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay isey jalne do
is aag sey tum tu door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
har mehfil main hum donoon ki kya kya nmahi batain hoti hain
in baatoon ka mafhoom hay kya, tum kya samjho, tum kya jano
dill chal k laboon tak aa na saka, lub khul na sake ghum ja na saka
apna tu bas itna qissa tha, wo waqt kahan wo baat kahan
jab marte they marne na diya, abb jeetey hain abb jeene do
dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay isey jalne do
is aag sey Insha door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
logoo.n ki tu baatain sachchi hain....aur dill ka bhi kehna karna howa
per baat humaari mano tu...ya un k bano ya apney raho
raahi bhi nahi, rehzan bhi nahi, bijli bhi nahi, khirman bhi nahi
aisa bhi bhala hota hay kaheen, tum bhi tu ajab deewane ho
is khail main har baat apni kahan, jeet apni kahan maat apni kahan
ya khail sey yak-sar uth jaao, ya jaati baazi jane do
DILL PEET KI AAG MAIN JALTA HAY *

sajjad85 29.03.09 - 03:44am
tum hansti achi lagti ho.......

tum waqi achi larki ho
yah mujh ko achi lagti ho
cherey ki udasi door karo
kiyun ji apna ranjoor karo
woh waadey wafa nibhaney ke
tum bhool gaein mujhay yaad rahe
kiya shaan tumhari ghat jati
jo eafa karne aa jatein??
abb kin batoon main khoi ho
abb kin sochoon main dobi ho?
cherey ko zara uthao tou
aankhain bhi chaar karo dekho
tum hansti achi lagti ho
cherey ki udasi door karo
jub hum ne kaha tha man jao
aur c ke hum ko mat jao
tum sunti thein chup reti thein
cherey pe liye udasi si
tum bekal bekal rehti thein
jub hum ne kaha tha ghum choro
ghum c dil ki baat kaho
tum hansti achi lagti ho
cherey ki udasi door karo
woh khat jo tumhara aaya tha
woh khat tha yah afsana tha
ger peet hamari chaye thi
jholi ko zara pehlana tha
haan eid tou aati rehti hai
per deed tou baqi rehti hai
ger eid per tum hi aa jatein
aur deed tumhari ho jati
woh baat tou aani jaani thi
per ban gai kahani si
abb uss ka qissa pak karo
tum hansti achi lagti ho
cherey ki udasi door karo *

sajjad85 29.03.09 - 03:49am
Darwaaza khula rakhna......

Dil dard ki shiddat say khoon gushta-o-see parah
Iss sheher main phirta hay ek wehshi aawarah
Shayaer hay keh aashiq hay,jogi hay keh banjara
Darwaaza khula rakhna..............

Seney sey ghata uthay,aankhoon sey jhari barsey
Phagan kaa nahin baadal,jo char ghari barsey
Barkha hay yeh bhadoon ki,barsey tou bari barsey
Darwaaza khula rakhna...........

Aankhoon main tou ek aalam,aankhoon main tou dunya hey
Hoonton peh magar mohrein,monh sey kuch nahin kehta hey
Kis cheez ko kho betha hey,kiya dhondney nikla hey???
Darwaaza khula rakhna.........

Haan tham mohabbat ki ger tham sakay doori......
Saajan hay tera saajan,abb tujh sey tou kiya chori
Yeh jiss ki mana di hey basti main teri gori..........
Darwaaza khula rakhna...........

Shikwon ko utha rakhna,aankhoon ko bicha rakhna
Ek shamma dareechay ki chokhat peh jala rakhna
Maayus naa phir jaye,haan paas-e-wafa rakhna
Darwaaza khula rakhna.......... *

sajjad85 29.03.09 - 04:02am
Chand K Tammanaai
.
shehr-e dill ki galiyoo.n main
shaam sey bhataktey hain
chaand k tammanaai
be-qarar sodaai
dill gudaaz tareeki
jaa.n gudaaz tanhaai
roh-o jaan ko dasti hay
roh-o jaan main basti hay
shehr-e dill ki galiyoon main
taak-e shab ki bailoo.n per
shabnamee.n sarakshoo.n ki
be-qarar logoo.n nay
be-shumaar logoo.n nay
yaad-gaar chorhi hay
itni baat thori hay?
_
sad-hazaar baatain thee.n
heela-e shakaibaai
soratoo.n ki zaibaai
qamatoo.n ki ranaai
in siyaah raatoo.n main
aik bhi na yaad aai
ja-baja bhataktey hain
kis ki raah taktey hain
chaand k tammanaai
ye nagar kabhi pehley
is qadar na weeraa.n tha
kehne waaley kehtey hain
qayaa-e nigaraa.n tha
khair apney jeene ka
ye bhi aik samaa.n tha
_
aaj dill main weeraani
ab'r ban k ghir aai
aaj dill ko kya kaheye
ba-wafa na harjaai
apni wehshat-e dill k
bun lieye hain afsaaney
khush khayyal duniya nay
garmiyaa.n tu jaati hain
wo rutain bhi aati hain
jab malool raatoo.n main
dostoo.n ki baatoo.n main
jee na chain paay ga
aur aoub aay ga
aahatoo.n sey gonjey gi
sheh-e dill ki pehnaai
aur chaand raatoo.n main
chandni k shaidaai
har bahaane niklain gai
aazmaane niklain gai
aarzo ki gairaai
dhoondh'ne ko ruswaai
sard sard raatoo.n ko
zard chaand bakhshey ga
be-hisaab tanhaai
be-hijaab tanhaai
shehr-e dill ki galiyoon main *

1-> 7->>


* Reply
* CoLoUrS-oF-LiFe Forum


fav Bookmarks

Search:
topics replies


* CoLoUrS-oF-LiFe (8)

Custom Search