! You are not logged in to Prodigits. Please register or login.

CoLoUrS-oF-LiFe - Topics

* CoLoUrS-oF-LiFe > Topics


Subject: Shaayri (Nazam)
Replies: 12 Views: 3287
6-<< 2-<

sajjad85 2.08.09 - 05:47am
agar kabhi meri yaad aye
to chand raaton ki nurm
dil geer roshni main
kisi sutare ko dekh laina,
agar woh nakhle fulaq se
urr ker tumhare qudmoon
main aa gerai to yeh jaan
laina wo isteyara tha mere
dil ka.....agar nay aye
magar yeh mumkin hi kis terah
hai keh tum kisi per nigah
dalo to us ki deeware jaan
na totte
woh apni husti na bhool jay,
agar kubhi meri yaad aye
guraiz karti huwa ki lahron
pe haath rekhna
main khushbwoo main
tumhain miloonga
mujhy gulabon ki pettiyoon
main telaash kerna
main oos qatroon ke aaiynoon
main tumhai milonga,
agar sitaron main, oos
qatron main, khushbwoon
main na paoo mujhe ko to
apne qadmoon main deikh
leina mein gird hoti mosafton
main tumhai milonga
kahein pe roshen cheragh
dekho to jaan leina keh
her pattenge key saath main
bhe bikher chuka hoon
tum apne hathoo se in
pattangoon ke khaak
darya main daal deina
main khak ben ker
samandroon main safar
keronga kisi na dekhey
howe jezeere pe ruk ke
tum ko sadayein donga
sumendroon ke safar pe
neklo to us jazeere
pe bhe uterna
=
(AMJAD ISLAM AMJAD) *

sajjad85 4.08.09 - 02:13pm
KASAK
Chalo tasleem karte hain
Bahot si chaahatein paayii
Bahot si raghbatein dekhi
Bahot si ulfatein simti
Zara si umr mein hum ne
Kayii rangon ke pal dekhe
Kayii sadiyon ka sukh dekha
Kayii mausam naye paaye
Zara si umr me humne
Jo sab ko mil nahin sakte
Vo taare humne paaye the
Nazaare hum ne paaye the
Sitaare hum ne paaye the
Magar vo aik lamha tha
Vo kitna sakht lamha tha
Kasak jiski nahin jaati
Khalish banke jo atka hai
Humare dil ko dastaa hai
Har aik lamha sadaa pal pal
Ke vo hum se jab bichada tha
Humey tanhaaiiyaan de kar
Humare saare sukh lekar
Mita kar saari taabeerein
Bhula kar saari taqdeerein
Unhi khwaabon ke jo usne
Humey pal pal dikhaye the
Vo tanha kar gayaa humko
Musalsal dagh furqat ka
Aik aisa de gayaa hum ko
Achaanak aik lamhe mein
Judaa jab vo huwa humse
Judaa jab vo huwa humse *

sajjad85 12.08.09 - 09:57am
Titliyon k mosam main,
Nochna ghulabon ka,
Reet is nagar ki hay or janay kab say hay.
Is shahar k bashinday,
Boo k beej nafrat k,
Intizar kartay hain,Fasal ho mohabat ki,
Chod kar haqeqat ko,Dhondna sarabon ka,
Reet is nagar ki hay or janay kab say hay.
Tum abi naye ho na,Is liya preshan ho,
Asman ki janib,
Is tarah say mat dekho,
aftain jub ani hon,
tootna sitaroon ka,
Reet is nagar ke hy or jany kab say hy,
ajnbi musafir say,
ajnabi fazaoon men,
apny her taaluq ka, Daimi samajh laina,
Or jab bicharna to, Mangna duaon ka,
Reet is nagar ki hay or janay kab say hay... *

1sarfraz 15.08.09 - 07:53am
Raat abhi tanhaai ki pehli dehleez pay hai,
Aur meri jaanib apnay hath badhaati hai,
Soch rahi hoon,
In ko thaamoon,
Zeena zeena sannaton kay teh-khaanon mai utroon,
Ya apnay kamray mai thehroon,
Chaand meri khidki pr dastak det hai....

By: Parveen Shakir *

salamah 23.06.10 - 08:03pm
YEH MILTIE HE KHUDA KE 'AASHIQO SEE ''
. . .NAZM BA'OONWAAN.
ZUBAAN -E- ISHQ.
ARIFBILLAH HAZR AT -E-AQDAS MOULANA SHAH HAKEEM MUHAMMAD AKHATR SAHEB R.A.
DARE RAZE SHRIAT KHOLTIE HE,
ZUBAANE ,ISHQ JAB BOLTIE HE.
****
KHIRAD MEHWA -E- HAIRAT OOS ZUBAA SE.
BAYAAN KARTIE HE JO AAHO FUGHAA SE,
****
JO LAFZO SE HOEWE ZAAHIR MA'AANH
WOH PAA SAKTE NAHIE DARDE NIHAANIE.
*****
MUHABCT DIL KIE KEHTH HE KAHAANI,
KAHAA PAA'O GE SADRA BAAZEGHA ME.
MAGAR DOLAT YE MILTIE HE KAHAA SE.
***** *

salamah 23.06.10 - 08:03pm
YEH MILTIE HE KHUDA KE 'AASHIQO SEE ''
. . .NAZM BA'OONWAAN.
ZUBAAN -E- ISHQ.
ARIFBILLAH HAZR AT -E-AQDAS MOULANA SHAH HAKEEM MUHAMMAD AKHATR SAHEB R.A.
DARE RAZE SHRIAT KHOLTIE HE,
ZUBAANE ,ISHQ JAB BOLTIE HE.
****
KHIRAD MEHWA -E- HAIRAT OOS ZUBAA SE.
BAYAAN KARTIE HE JO AAHO FUGHAA SE,
****
JO LAFZO SE HOEWE ZAAHIR MA'AANH
WOH PAA SAKTE NAHIE DARDE NIHAANIE.
*****
MUHABCT DIL KIE KEHTH HE KAHAANI,
KAHAA PAA'O GE SADRA BAAZEGHA ME.
MAGAR DOLAT YE MILTIE HE KAHAA SE.
***** *

6-<< 2-<


* Reply
* CoLoUrS-oF-LiFe Forum


fav Bookmarks

Search:
topics replies


* CoLoUrS-oF-LiFe (8)

Custom Search